Teri Zehra Pe Musibat Ki Ghadi Hai Noha Lyrics
baba mere baba
teri zehra pe musibat ki ghadi hai
haye baba
kaise darwaza hata'un
kaise mohsin ko bacha'un
saans seene may ruki hai
teri zehra pe...
teri ummat ne banadi hai ye haalat baba
koi phasli bhi nahi meri salamat baba
saans leti hoo mai jis dum rukne lagta hai mera dum
sirf marne ki kami hai
teri zehra pe...
bin ali ke mai zamane may jiyungi kaise
sab hai bardaasht ye bardaasht karungi kaise
bad gayi hadh se adawat teri beti ko te ummat
bewa karne pe tuli hai
teri zehra pe...
kabhi darbar may peshi ko bulate hai hamay
kabhi darwaze pe aa aa ke satate hai hamay
mere ye phool se bache poochte hai yehi mujhse
kya khata humse huwi hai
teri zehra pe...
guzri athara baras may hi wo mujhpar baba
sin mera lagta hai fizza ke barabar baba
khud gawahi tumhe degi mere baalon ki safedi
wo jafa mujhpe hui hai
teri zehra pe...
jab se hasnain ke baba se suna hai ye kalaam
ke mujhko ab koi madine may nahi karta salaam
tab se haal hai mera apne gham bhool ke baba
bas mujhe fikr e ali hai
teri zehra pe...
haath may jiske mera haath diya tha tum ne
kehke man kunto jise maula kaha tha tum ne
maine har mod pe baba saath uska hai nibhaya
haan mera jurm yehi hai
teri zehra pe...
ye aziyat ye khamoshi nahi dekhi jaati
mujhse tanhai ali ki nahi dekhi jaati
tera paigham sunane haq wilayat ka batane
zehra ghar ghar may gayi hai
teri zehra pe...
aap ke sog may tareek na dekha gaya ghar
aag darwaze pe ummat ne lagadi aakar
baba jaan baad tumhare dekhiye ghar may hamare
roshni kaise huwi hai
teri zehra pe...
qabre zehra se takallum ye sada aati hai
kitni sadiyon se meri qabr pe veerani hai
phool turbat pe chadade ek diya laake jalade
kya madine may koi hai
teri zehra pe...