Abbas Jo Zinda Hai Noha Lyrics - Nadeem Sarwar

Abbas Jo Zinda Hai Noha Lyrics


mehfooz khaafila hai abbas jo zinda hai 
abhi door karbala hai abbas jo zinda hai

is noori karwan may noori amariyan hai 
noori amariyon may noori sawariyan hai 
sar par alam khula hai abbas jo zinda hai 
abhi door karbala hai...

na-mehramon ka majma hat hat ke hai guzarta 
pehre may ba-wafa ke tay ho raha hai rasta 
kya shaan o dabdaba hai abbas jo zinda hai 
abhi door karbala hai...

abbas jaisa bhai salaar e karwan hai 
bolay hussain mujhko phir koi gham kahan hai 
har gham ki ye dawa hai abbas jo zinda hai 
abhi door karbala hai...

zainab haya ki malka kulsoom aur ruqayya 
laila rabab farwa kubra sakina fizza 
har bibi ba rida hai abbas jo zinda hai 
abhi door karbala hai...

asghar se khaylti hai khush hai bohat sakina 
jab chaahti hai sona hai baba jaan ka seena 
gham se na aashna hai abbas jo zinda hai 
abhi door karbala hai...




Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.