Sun lo meri fariyad Ya Hazrat e Abbas(a.s.)
Ya Hazrat e Abbas(a.s.) toote na meri aas
Ai Sarware Zee jaah Aali teri dargah
Haider ka hai tu maah hai sab ko teri chaah
Ummeed liye shah(a.s.) aaya hu tere paas
Sun lo meri fariyad Ya Hazrat e Abbas(a.s.)
Ya Hazrat e Abbas(a.s.) toote na meri aas
Laaya hoon mai fariyaad sun lo meri roodad
Rehta hoon mai naashad ghum se karo aazad
Har tarah khushi a baa jae mujhe raas
Sun lo meri fariyad Ya Hazrat e Abbas(a.s.)
Ya Hazrat e Abbas(a.s.) toote na meri aas
Kis se kahu aaqa koi nahi mera
Mai ghum ka maara hoon koi nahi mera
Ab laut ke dar se jaaun na mai be aas
Sun lo meri fariyad Ya Hazrat e Abbas(a.s.)
Ya Hazrat e Abbas(a.s.) toote na meri aas
Ummul banni ke laal hai ye mera sawaal
Ghum se karo bahaal khushiyo se maala maal
Mushkil kusha(a.s.) ki jaan ya hazrate Abbas(a.s.)
Sun lo meri fariyad Ya Hazrat e Abbas(a.s.)
Ya Hazrat e Abbas(a.s.) toote na meri aas
Shabbeer ke jaani maula ki nishani
Ai Haider e saani sun lijiye kahani
Milta nahi paani be had hai mujhe pyaas
Sun lo meri fariyad Ya Hazrat e Abbas(a.s.)
Ya Hazrat e Abbas(a.s.) toote na meri aas
Karbal ke alamdaar aaya hai gunahgaar]
Tufaan ki chali dhaar kashti karo ab paar
Saae me alam ke rakhna mujhe Abbas(a.s.)
Sun lo meri fariyad Ya Hazrat e Abbas(a.s.)
Ya Hazrat e Abbas(a.s.) toote na meri aas
Be rozi ke mai yun kis tarah jiyoon
Qarze me ghira hoon ghum kb talak sahoo
Tum babul hawaaij ho, rozi mile Abbas(a.s.)
Sun lo meri fariyad Ya Hazrat e Abbas(a.s.)
Ya Hazrat e Abbas(a.s.) toote na meri aas
Ai nehar ke waali tum sayyade Aali
Aaya hai sawaali jaae na ye khali
Bhra dijiye jholi, ya Hazrat e Abbas(a.s.)
Sun lo meri fariyad Ya Hazrat e Abbas(a.s.)
Ya Hazrat e Abbas(a.s.) toote na meri aas
Islaam ki ho shaan imaan ki ho jaan
Tum waarise Quraan , hai ye mera Imaan
Kya der hai aaqa hai sab tumhare paas
Sun lo meri fariyad Ya Hazrat e Abbas(a.s.)
Ya Hazrat e Abbas(a.s.) toote na meri aas
Vo Shabbar(a.s.) o Shabbir(a.s.) aur Akbar(a.s.) o Asghar(a.s.)
Vo Aabid(a.s.) e muztar aur Baqir(a.s.) o Jafar(a.s.)
In sab ka waseela, laaya hoon tere paas
Sun lo meri fariyad Ya Hazrat e Abbas(a.s.)
Ya Hazrat e Abbas(a.s.) toote na meri aas
Ya Sahibe Alam jae kaha pe hum
Shabbir(a.s.) ki qasam ho mujh pe ab karam
Mushkil ho meri hal ya Hazrat e Abbas(a.s.)
Sun lo meri fariyad Ya Hazrat e Abbas(a.s.)
Ya Hazrat e Abbas(a.s.) toote na meri aas
Ho dur teergi mil jae raushni
Behre Taqi(a.s.) Naqi(a.s.) Musa(a.s.) o Askari(a.s.)
Behre Ali Reza(a.s.) ya Hazrate Abbas(a.s.)
Sun lo meri fariyad Ya Hazrat e Abbas(a.s.)
Ya Hazrat e Abbas(a.s.) toote na meri aas
Vo pyaasi Sakina (s.a) us ka tumhe sadqa
Zainab(s.a.) ka waseela Laaya hoon maim aula
Sun lo meri maula jaaoon na khali haath
Sun lo meri fariyad Ya Hazrat e Abbas(a.s.)
Ya Hazrat e Abbas(a.s.) toote na meri aas
Le lo mera salaam hoon aap ka ghulaam
Mushkil karo tamaam jeena hua haraam
Ho jald mera kaam kya der hai Abbas(a.s.)
Sun lo meri fariyad Ya Hazrat e Abbas(a.s.)
Ya Hazrat e Abbas(a.s.) toote na meri aas
Girton ko sambhalo, marton ko bacha lo
Gardish se nikaalo be kas ko sambhalo
Roze pe bula lo tum Khizr(a.s.) tum iliyas(a.s.)
Sun lo meri fariyad Ya Hazrat e Abbas(a.s.)
Ya Hazrat e Abbas(a.s.) toote na meri aas
Narjis ke laal ka, sadqa ho ab ata
Dil ki hai ye dua ho jld mojiza
Ghar jaaoon shad shad dar se terte Abbas(a.s.)
Sun lo meri fariyad Ya Hazrat e Abbas(a.s.)
Ya Hazrat e Abbas(a.s.) toote na meri aas
Ye haath ho mere daaman ho aap ka
Lab per hai ye dua dil se hai muddoa
Duniya me aap ka Baqir na ho udaas