Alam Bardar aata Hai Noha Lyrics
ye kaun hai falak saara larazta hai
ye kaun hai zameen ka dil dhadakta hai
alam bardaar aata hai...x2
ye lagta hai ke jaise hyder e karraar aata hai
alam bardaar aata hai alam bardaar aata hai
alam thaame hussaini fauj ka salaar aata hai
alam bardar aata hai
falak saara larazta hai zameen ka dil dhadakta hai
faza may shor barpa hai adoo ka dam nikalta hai
jari ye kaun aata hai alam kis ka ubharta hai
yazeedi fauj may halchal dilon pe khauf chaaya hai
ye lagta hai ke jaise... alam bardar aata hai...
jo thi karraar ki haibat wohi abbas ki haibat
khuda ke sher jaisi hai ali ke sher ki taaqat
wohi chehra wohi seerat wohi jazba wohi jurrat
abhi aaya nahi lekin adoo pe cha gayi dehshat
misaal e la-fataah shabbir ka salaar aata hai
alam bardar aata hai... alam thaame hussaini fauj...
abhi ye shor barpa tha ke goonja hyderi naara
misaal e la-fataah ghazi achanak saamne aaya
mujhe abbas kehte hai jari lalkaar kar bola
alamdar e hussaini hoo ghulame syed e waala
sada deta hua ye ghazi e jarraar aata hai
alam bardar aata hai... ye lagta hai ke jaise...
yahan tanha dil e hyder wahan laakhon jafa paikar
yahan bas haath may naiza wahan taygh o sina khanjar
yahan sookha hai mashkeeza wahan sairaab hai lashkar
yahan shauk e shahadat hai wahan shaukeen e maal o zar
muqabil marhabon ke saahib e kirdaar aata hai
alam bardar aata hai... alam thaame hussaini fauj...
adoo se cheen kar darya alam abbas ne gaada
yazeedi fauj may us dam achanak shor ye utha
aray bhaago tarayi se ali aaya ali aaya
phir us ke baad darya par faqat ghazi nazar aaya
jafa kaaron may ban kar maut ki lalkaar aata hai
alam bardar aata hai... ye lagta hai ke jaise...
bhara jis waqt mashkeeza bada yaad aayi masooma
liye pani suye qaima chala saqqa sakina ka
bada jab ghird ghazi ke yazeedi fauj ka halqa
kaha abbas ne dil may sakina tum na ghabrana
abhi lekar ye mashkeeza tera ghamkhwar aata hai
alam bardar aata hai... alam thaame hussaini fauj...
alam ghazi dilawar ka jab us ke khoon may dooba
bureeda baazuon waala na mashkeeza bacha paaya
tadapta khaak par dekha jo sheh ne bhai ka laasha
wafa ko naaz hai tujh par pukaare sayyed e wala
khudaya pass ab tere mera salaar aata hai
alam bardar aata hai...ye lagta hai ke jaise...