Dekhlo kufiyo'n Hum Wahi log hai
Karbala se chale jabke ahle haram
Guzre ganje shaheedan se ba chashme nam
Girte pardte chale Abid e khastadam
Pahonche kufa toh bole imam e umam
Dekhlo Kufiyo'n hum wahi log hai.... x2
Humko pehchanlo hum wahi log hai
Dekhlo Kufiyo'n hum wahi log hai.... x2
Khat me jis ghar pa akar shariyat hui
Aur mukammal nabuwat risalat hui
Farz ummat pa jinki eta'at hui
Unki ummat ke haato ye halat Hui
Dekhlo Kufiyo'n hum wahi log hai....
Jinka jibreel jhula jhulate rahe
Hur o ulman lori sunate rahe
Banke sayil malayek bhi aate rahe
Ambiyan jinke ghar aate jate rahe
Dekhlo Kufiyo'n hum wahi log hai....
Jumtare wuzud aitebare adam
Waqf hai jinki midhat ku loho qalam
Bakshishe jannat e jinke zere qadam
Tum bhara karte ho jinka dam dam ba dam
Dekhlo Kufiyo'n hum wahi log hai....
Humko taajo hukumat se razmat kaha
Hum tumhare bulane par aaye yaha
Mujhko pehnadi tauq o rasan bediya
Hu mai ibne imam o imam e zama
Ghar ka ghar nazre karbobala hogaya
Aaj balwe me hai itrate mustafa
Qaid o margaan'd me hum huwe mubtela
Humko dar dar phirate ho tum beqata
Tum jo jam aa yaha itne afraad ho
Dekh kar humko mushkil me kyun shaad ho
Ya nabi zadiya hai ye gar yaad ho
Tum hamare ghulamo ki aulaad ho
Jinka tum dekhte ho Tamasha yaha
Binte paighambare do jaha inki maa
Thi yahi pehle kufe ki shehzadiyaan
Thi kaneeze tumhari Bahu betiyaan
Phir rahe hai jo bazar me dar ba dar
Lut gaya dopahar me bhara ghar ka ghar
Hai shaheedo ke laashe padhe khaak par
Noke naiza pa hai sab shaheedo ke sar
Kaise kaise haseen aur pyare gaye
Mushafe noor quran ke paare gaye
Samne apni ankhon ke taare gaye
Kaise kaise jawan apne maare gaye
Dekhlo Kufiyo'n hum wahi log hai.... x2