Mahool lajawab fiza bemisaal hai
Mahool lajawab fiza bemisaal hai
Phir aj meri fikr ka chehra bahaal hai
Daulat mili hai midhatey bint e rasool ki
Qismat ki is ataa pe mera dil nehaal hai
Aao suna raha hu me zehra ki manqebath
Kya sonchtey ho ye bhi azaan e bilaal hai
Tazeem inki karta hai Allah ka rasool
Hasti janab e Fatima ki bemisaal hai
Jis dar pea key izney talab ho malaaika
Is dar ki manzilat ka samajna mahaal hai
Hyder bana rahey hai isey apni janemaaz
Bintey nabi ye teri rida ka kamaal hai
Zehra ke aabroo pen a aye kahi shikan
In me bhi zulfiqaar e ali ka kamaal hai
Meri lahad me agaye maula e kainaat
Pucho farishto jo bhi tumara sawaal hai