Ali aa rahe hain qasida lyrics

Do Alam hai Farhan payamber hai sha'daan
Ali aa rahe hain Ali aa rahe hain

Do Alam hai Farhan payamber hai sha'daan
Ali aa rahe hain Ali aa rahe hain
Nikal jayenge aj kaabe ke armaan
Ali aa rahe hain Ali aa rahe hain


Nabi apne Bhai ko haatou'n pa lenge
Ali dekh kar Mustafa ko Hasenge
Nazar aayega aj Quran pa Quran
Ali aa rahe hain Ali aa rahe hain


Karamat hai binte Asad ke qadam me
naya ek dar ban Raha hai haram me
Hai dewaar e Kaaba masarrat se qanda
Ali aa rahe hain Ali aa rahe hain


Ye ab zulm e batil na Kaaba sahega
khuda ke makan par na khabza rahega
Butoun takliye ka Karo tum bhi samaa'n
Ali aa rahe hain Ali aa rahe hain


Jalalat ke tevar se marhab hain shasdar
wo haibat ka alam ke hairaa'n hai antar
Ajab rob hai bab e khyber hain larza
Ali aa rahe hain Ali aa rahe hain


Wo hai Nur e afsha gawah e risalat masarrat se ubhri hain mohre nabuwat
Hain Kaaba bhi apne muqaddar pa nazaan Ali aa rahe hain Ali aa rahe hain


Ali ke liye khud payamber badhenge
Nabi nafs ko apne ab dekh lenge
Mujassim huwe hain Muhammed ke armaan
Ali aa rahe hain Ali aa rahe hain


Malyek me ek shor e Salle ala hain
yahi toh Haqeeqat me waqt e dua hai
Khuda ki hai rehmat ke darya me toofan
Ali aa rahe hain Ali aa rahe hain


Muhibbo ki mehfil badi purziya hain
Ali ke tasawur ka jalwa hua hain
Dilo'n me masarrat se ab hain charaga'n
Ali aa rahe hain Ali aa rahe hain


Ali me hai baqar Jalal e khudai
kalai me hai zor e khyber kushai
Hue mushkile sab payamber ki asaan
Ali aa rahe hain Ali aa rahe hain



Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.