Azmaya hua naam kaam aagaya
Azmaya hua naam kaam aagaya zoq e midhat ko yu mudua milgaya
Ya Ali kehkey me ne uthaya qalam madhey Abbas ka hausla milgaya
Me ne Abbas ka waasta dediya meri taqdeer me jo na tha milgaya
Jo hamesha se qismat ke qayal rahey unko kaise batau ke kya milgaya
Me ne babul hawaij ko awaaz di panjetan ka dar e faiz wa ho gaya
Ek waseeley se kitney waseeley miley jo bhi manga tha ussey siwa mil gaya
Vo Ali o wali ho ke abbas ho naam badla magar kaam badla nahi
Jab bhi mushkil kusha ki zarurat hui iss gharaney me mushkil kusha milgaya
Roz e mehshar qayamat kit thi tishnagi aur deedarey saaqi ki lau thi lagi
Naam e abbas le kar me agey badha taaba kauser mujhey raasta milgaya
Hai Ali Murtaza mazhar e kibriya aur abbas hai mazhar e murtaza
Mujhko abbas ka aastaan kya mila taaba maabood ek silsila milgaya
Haq ye hai akey duniya me abbas ne mere maula ki haajat ko pura kiya
Vo Ali khalq ka hai jo haajat rawa aj usko bhi haajat rawa milgaya