Musalle pe maine ali ka qasida
Musalle pe maine ali ka qasida
juhi gungunaya savere savere
khuda ki qasam phir ibadat ka mujhko bada lutf aaya savere savere
Jo sheh ki mawaddat ne hurr ko jhanjhora
to usne bhi ghaflat ke (bistar ko choda)..(2)
to khud aaftab e shahadat ne uska muqaddar jagaya, savere savere
Ubharte hi suraj ne hamd e khuda ki
ziyarat ki phir (roza e murtaza ki)..(2)
parindo ne apni zuba me qasida ali ka sunaya, savere savere
Hai zehra ki marzi mashiyat khuda ki
hua tha na lab se (abhi hukm jaari)..(2)
libaas e jina leke rizwan e jannat ne darr khat khataya, savere savere
Uthi jhoom kar rehmato ki ghataye
chali mere ghar me (jina ki hawaein)..(2)
chiragh e hadis e kisa apne ghar me jo maine jalaya, savere savere
Mai soya tha shab me ali ko bhula kar
ba hukm e khuda kuch (farishto ne aakar)..(2)
mujhe khwab me roza e murtaza ka nazara karaya, savere savere
Namaz e mawaddat me guzri meri shab
jhuka fajr me sar (paye sajdae rab)..(2)
lagai thi laagat andhere andhere munafa kamaya, savere savere
Waha madh e maula me masroof shab bhar
mawaddat ki mehfil se lauta jo mai ghar
sohail ek farishta shifa'at ki meri sanad leke aaya, savere savere