Shaheed se koi shamsheer ka maza pooche Marsiya

Shaheed se koi shamsheer ka maza pooche Marsiya


Shaheed se koi shamsheer ka maza pooche
Mareez se koi akseer ka maza pooche
Aseer se koi zanjeer ka maza pooche
Yateem se koi dilgeer ka maza pooche

Har ek pah guzra zamane mein ranjo gham hae hae
Saha na Abede beemar sa alam hae hae

Shaheed hotey hue baap ko pisar dekhe
Ani pah naize ki hae hae sare pidar dekhe
Jawan bhai ka nikla hua jigar dekhe
Phoopi ko ankhon se balwe mein nangay sar dekhe

Kisi nabi pah na is tarha ke alam guzre
Joh is mareez pah har tarha ke sitam guzre

Shadeed taph mein woh kanton pah chalna Abed ka
Pahan ke bediyan har ek qadam pah gir padna
Woh zulme jowr sitamgar haram ka shoro buka
Woh jism laagare Abed woh dhoop woh durrah

Siwaae shukre Khuda kuch na kehte thay Sajjad
Duae ummate aasi mein rahte thay Sajjad

Phiraya kaanton pah Sajjad ko barehna pa
Nabi ke kunbe ko balwe mein le gaye aada
Jalaaya qaima-e-namoose syedde wala
Phira ke balwe mein zindaan mein qaid kar dala

Tamaasha dekhne sub ahle shaam aate thay
Haya se ahle haram gardanein jhukatey thay

Sitam ke baad huva qaid se joh chutkara
Layeen se baap ka sar is yateem ne maanga
Sar-e Hussain khazane se Hind ne bheja
Sawaar oontoun pah kunbah huva payambar ka

Lehad mein laash ghareeboun ki haaye dharne chale
Mahe batool ko paiwande qaak karne chale

Jo pahunche Karbobala Abede aseere bala
Pidar ko deke kafan qaak mein rakha laasha
Lipat ke qabr se chillae yoon ke ae baba
Watan ko jaata hoon lo aaqri mera mujra

Watan se aaya tha kis shaan se yahan hae hae
Luta ke ghar ko mein jaata hoon neem jaan hae hae

Likha hae yoon ke watan aaye jab shahey wala
Pidar ki yaad mein har waqt karte thay nala
Nazar jo aata tha paani toh rotey thay moula
Hamesha ankhon mein phirta tha dashte karbobala

Pidar ke baad bhi raahat mili na Abed ko
Dobara qaid kiya is ghareeb zahed ko

Watan se le gaye phir qaid karke baaniye shar
Hu-ee bhatije ke hamrah Zainabe muztar
Qareebe Shaam jo pahunche woh dono nauhagar
Lagaya belcha Zainab ki pusht ke oopar

Safar mein Zainabe bekas se chut gaye Sajjad
Dayare Sham mein phir aake lut gaye Sajjad

Phupi ko soump ke jungle mein syedde wala
Madine mein hua daaqil woh bekaso tanha
Waleed Shaam ke haakim ne zehr bhijwaya
Woh sum ke khate he Abed ne ki jahan se qaza

Falak pah hooro malak arsh ko hilane lage
Zameen pah jinno bashar sar pah qaak udane lage

Mohebbo daage alam dil pah dhar gaye Sajjad
Joh khaya zehar toh sadh haif margaye Sajjad
Nabi ki aal ko be-aas kar gaye Sajjad
Yateem hogaye Baquer guzar gaye Sajjad

Sar apna peet tey marqad se Mustafa nikle
Kaleja thaam ke kyonkar na Fatema nikle

Chiraage deene nabi aaj bujh gaya yarab
Nishaane panjatane paak mit gaya yarab
Utha jahan se sartaj ab mera yarab
Qitab bewa-e Abid mujhe mila yarab

Karoon mein kya meri qismat bigad gayi ya rab
Chaman mein Fatema ki oas padhgayi ya rab

Khuda ke arsh ka taara guzar gaya logo
Ghazab hae shah hamara guzar gaya logo
Woh bekason ka sahara guzar gaya logo
Hassan Hussain ka pyara guzar gaya logo

Madina lut gaya ya Mustafa duhaai hae
Najaf ujad gaya ya Murtuza duhaai hae

Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.