Shaahey waala ney shahadat ka sar anjaam kiya Marsiya

Shaahey waala ney shahadat ka sar anjaam kiya Marsiya


Shaahey waala ney shahadat ka sar anjaam kiya
Sar kataa zulm sahey haq ka magar kaam kiya
Sabr ney abid-e-beemaar ka ithmaam kiya
Baap aur betay nay Islam ko Islam kiya

Waada tifli ka jo Shabbir wafa karthay hain
Haq yeh farzandi Sarwar ka adaa karthay hain

Kaun masoom huva touq-o-salaasal may aseer
Kaun hai woh jisey pehnaayi hai dohree zanjeer
Taaziyaanou say adoo dethay thay kisko taazeer
Kiske maa behnou ki majmay may huvi hai tash-heer

Taih koyi kar na sakaa jisko yeh woh manzil hai
Sabr-e-namoos kay baaray may bahot mushkil hai

Kar gaye thay jo wasiyath shahey deen waqt-e-akheer
Sabr sey kaam liya keejiye baad-e-Shabbir
Shukr karna jo pinhaaye tumhey bhaari zanjeer
Badh-dua deina na ummat ko jo Zainab ho aseer

Turn jo bigddoh gay toh khaliq ka ghazab aayega
kaam jo mainey banaaya hai bigadd jaayega

Dhyaan baba ki wasiyath pa jo karthay hain Imaam
Unkay qaatil say bhi farmaathay hain narmi say kalaam
Touq pehnaa-nay ko laatha hai jo woh badh anjaam
Khud badhaa dethay hain gardhan ko shahinshahe anaam

Yeh tahamul hai isey shaan-e-wafa kehthay hain
Kehnay waaley isey tasleem-o-riza kehthay hain

Baap ki laash pa woh zulm huva kuch na kaha
Chinngayee Sani-e-Zehra ki ridaa kuch na kaha
Baazu namoos ka rassi may bandhaa kuch na kaha
Taaziyaanou ki sahi saqth jafaa kuch na kaha

Gham say madar ka jigar seenay may phat-thay dekha
Ali Asghar ka galaa qabr may kat-thay dekha

Sar barhainaa sar-e-darbaar gaye sabr kiya
Dar badar koocha-o-bazaar gaye sabr kiya
Khudrathein rakh kay giraftaar gaye sabr kiya
Bey dawaa qaid may beemaar gaye sabr kiya

Qadr baba ki wasiyath ki dikhaayi tuney
Qabr haathoun say Sakina ki banaayi tuney

Ya Ali dekhlo pothay ki museebath dekho
Ghamo andoh ki tasveer hai soorath dekho
Shiddathay thaph say ghazab ki hai naqaahath dekho
Tauq phir us pa galay may hai qayamath dekho

Waqf-e-aalaam hai hazrat kay gharaanay waaley
Kya sitam sehthay hain ummath kay bachaney waaley

Haaye jeethay hain teri qabr mittaaney waaley
Khuld may Ahmad-e-mursal ko rulaaney waaley
Chashm-e-insaaf sey dekhain toh zamaaney waaley
Kaisey hothay hain Mohammad ke gharaaney waaley

Zeher peethay hain galaa teigh sey katwaathay hain
Qabr may jaakay bhi aaraam nahin paathay hain

Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.