Jab katt gaye haftaad doh tanh raahey Khuda me Marsiya

Jab katt gaye haftaad doh tanh raahey Khuda me Marsiya 


Jab katt gaye haftaad doh tanh raahey Khuda main
Tanhaa rahey Shaahey Shohadaa dashtey balaa main
Taaqath na rahi jism-e-Imam-e-dosaraa main
Koyi na raha Sheh kay azeezo rufaqaa main

Sarkaar ki rounaq thi na darbaar tha baaqi
Luttney ko harum marney ko Sardaar tha baaqi

Farmaatay thay haathoun pa liye laasha-e-Asghar
Maqbool ho aye baar-e-Khuda hadyaa-e-ehqar
Kis mooh sey tera shukr karoon aye meray daavar
Tuneh meray Asghar ko diya ruthbaa-e-Akbar

Jaan apni meray shiyoun kay bachchoun pa fida ki
Shashmaahey pa bilkul hai yeh taaeedh Khuda ki

Gham ka mujhey gham hai na khushi mujhko khushi ki
Tu sar pa hai parwaah nahin bandhay ko kisi ki
Haan ek yeh haajath hai Hussain ibney Ali ki
Sar nangay na dekhoon main nawaasi ko nabi ki

Bey pardaah woh jab ho kay main paiwandh-ezameen
hoon
Aur yoon teri marzi hai toh baahar bhi nahin hoon

Lashkar diya kunbaa diya ghar bhi diya tunay
Sardaar bhi tunay kiya sar bhi diya tunay
Humshakl-e-Payamber sa pisar bhi diya tunay
Yeh houslaa yeh dil yeh jigar bhi diya tunay

Kya faqr jo pyaaroun ko rahey haq main diya hai
Teri hi inaayath ko fidaa tujh pa kiya hai

Mujh main thi yeh qudrath kay bharey ghar ko lutaatha
Waan qatl ho Akbar idhar Asghar ko main laatha
Taddpay yeh meray haathoun pa main labb na hilaatha
Baazu ho judaah haath na ummath pa utthaatha

Yoon khush koyi hungaam-e-tabaahi nahin hotha
Bandhay sey yeh bey fazley ilaahi nahin hotha

Ummath ney bhulaaya hai mujhey tu na bhulaana
Tu paak hai duniya sey mujhey paak utthaana
Sab chodd kay tanhaa huvey jannath ko ravaana
Aye baar-e-Khuda qabr ki wehshath sey bachaana

Jab gor-e-ghareebaan ka andheira nazar aaye
Har samth ko jalwaa mujhey tera nazar aaye

Naagah nida pardaa-e-Qudrath sey yeh aayi
Shaabaash kay tasleem-o-riza khoob dikhaayi
Bandhay tujhey humney kiya Muqtaar-e-Khudaayi
Khaasaan-e-Khuda kartay hain yoon waada wafaayi

Pyaarey bhi musaaheb bhi fidaa kardiye tunay
Iqraar tha ek sar ka bahaathar diye tunay

Bas bas kay Khuda ab tera sharmaatha hai Shabbir
Kyon meray huzoor aaney main ghabraatha hai Shabbir
Taalib hoon main jis hadyeh ka tu laatha hai Shabbir
Bandhoun ka hamein ijzz pasandh aatha hai Shabbir

Tu izr ka tohfaa meri dargaah ko samjhaa
Main ruthbaa tera samjhaa tu Allah ko samjhaa

Hazrath ney suneh hukm-e-ilaahi jo yeh saarey
Bey saaqtha murddkar su-aiy kuffaar pukaarey
Qaatil hai kahaan aaye meray sar ko uthaarey
Deodi sey bahen boli main qurbaan tumhaarey

Saidaniyaan dukh main kisey chillaegi bhaayi
Bin maa ki yeh behnay teri lutt jaayengi bhaayi

Waan zaalimoun ney mourchay ek daf-faa baddhaaye
Baadal ki tarhaa Fatema kay chaand pa chaaye
Yoon teer-e-jafaa maarey kay seenay main dar aaye
Naizey jo lagaaye toh kaleijey main lagaaye

Zakhmoun sey toh khoon-e-badan-e-Shah tha jaari
Aur mooh sey tawakkalto Alallah tha jaari

Barchee kabhi pehloo pa chali aur kabhi shamsheer
Patthar kabhi maathay pa lagaa aur kabhi teer
Sambhlaa na gaya hogaye ghash Hazrath-e-Shabbir
Aur seena-e-zakhmi pa chaddha zaalim-e-beypeer

Sar peet kay mindheel farishtoun ney giraa di
Zaalim ney chhuree halq pa Syed kay phiraadi

Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.