MAATAM HAI FAZAO’N ME SHAHE KAONO MAKA’N KA
Is Gham se fiza Kufe ki tharraai huwi hai
Ab arsh pa ashkon ki ghata chhaai huwi hai
Aur taaro’n ki aankhon me nami aayi huwi hai
Har zarre ki ashkon se shanasaai huwi hai
Matam hai fazaon me Shahe Kauno Maka’n Ka
Wo Gham hai ke Islam ka larzaa’n hai sawaira
Sakta hai har ik gaam pa sannato’n ka dera
Khamosh fizaao’n me hai har simt andhera
Khoo’n rota hai unniswi’n Ramza’n ka sawera
Matam hai fazaon me Shahe Kauno Maka’n Ka
Farqe Shahe Wala huwa shaq zarbe sitam se
Moula jo tadapne lage Sar haathon se thaame
Hasnain ne roomal kasa sar pa Ali ke
Chehre ko bhigote hi bahe khoon ke dhaare
Matam hai fazaon me Shahe Kauno Maka’n Ka
Rote huwe Abbas Ki Maa ne kaha Aaqa
Sadqe karun Abbas ko Tujh par se Main Moula
Haider ne kaha ye to hai Shabbir ka fidiya
Aur hoga muhafiz yehi Zainab ki rida ka
Matam hai fazaon me Shahe Kauno Maka’n Ka
Kehne lage Zainab se Ali phir ye tadap kar
Karta hu’n Tujhe sabr ki talqee’n Meri Dukhtar
Baazu me rasan ho’egi chhin jaaegi chaadar
Hamrah na hoga koi juz Abide Muztar
Matam hai fazaon me Shahe Kauno Maka’n Ka
Kat jaaenge Abbase Alamdar ke shaane
Lut jaaega ghar asr ko jal jaaenge khaime
Phelenge ju’nhi shaame ghareeban ke andhere
Beti Meri pehra Tujhe dena hai akele
Matam hai fazaon me Shahe Kauno Maka’n Ka
Zainab Tere aansu nahi’n Haider ko gawarah
Karbal me nahi’n dega Tujhe koi dilasa
Mat ro Meri Beti ke abhi zinda hai Baba
Phir ro diye khud shaano ko aankhon se lagaya
Matam hai fazaon me Shahe Kauno Maka’n Ka
Jab sab ko Ali ne kiya Shabbar ke hawaale
Be chain huwe sunte hi Abbas ke naale
Seene se laga kar kaha aankhon ke ujaale
Abbas Tujhe karta hu’n Sarwar ke hawaale
Matam hai fazaon me Shahe Kauno Maka’n Ka
Aansu nikal aaye ju’nhi lab choome Hasan ke
Girya kiya Sarwar ke gale ke liye bose
Phir aakhri angdaai li aur bachchon ko bole
Karta hu’n Tumhein Khaliq e Akbar ke hawaale
Matam hai fazaon me Shahe Kauno Maka’n Ka
Ekkeeswi’n Ramzan ki sahr karti hai girya
Hasnain ke sar par na raha Baap ka saya
Kulsoom hai bechain to Zainab ko hai Sakta
Uthta hai Rasheed ab Mere Moula ka Janaza
Matam hai fazaon me Shahe Kauno Maka’n Ka