Ashoor ki wo raat wo sannaate ka alam Full Noha Lyrics

 

Ashoor ki wo raat wo sannaate ka alam

Ashoor ki wo raat wo sannaate ka alam
Fitrat ki khamoshi me farishton ka Wo maatam
Soya hua ran me Asadullah ka zaiGham
Aur khoon me dooba hua Islaam ka parcham
Abbas tujhe Ahle Wafa yaad karenge


Dekhi na gayi bachon ki jab tashna dahani
Aankhon me khatakne lagi maojo’n ki rawani
Paani ke liye apna lahu kar diya paani
Bachpan pa Sakina ke fida kardi jawani
Abbas tujhe Ahle Wafa yaad karenge


Qabze me thi talwaar ke qabze me Khudaai
Do haath chali thi ke taraai nazar aayi
Bhai ki wigha door se dekha kiye Bhai
Yu Shaane Wafa Tu ne wafadaar dikhaai
Abbas tujhe Ahle Wafa yaad karenge


Aye Fatima Zehra ke qamar nayyare taaba’n
Baazue Hussain Ibne Ali naasire Ima’n
Khaaliq ki qasam kardiya Islaam pa ehsaan
Aye mashke Sakina ke Muhafiz Tere qurbaan
Abbas tujhe Ahle Wafa yaad karenge


Duniya se gaya Shaan Wafaaon ki dikha kar
Paani na piya pyaasa raha nehr pa jaa kar
Ghode se gira khaakh pa baazu ko kata kar
Soya bhi to soyi hui millat ko jaga kar
Abbas tujhe Ahle Wafa yaad karenge


Kazim koi karta hai to karne do bahana
Goonjega fazaaon me wafaaon ka taraana
Har rang me dhal jaaega ye Gham ka fasaana
Fitrat to na badlegi badal jaay zamana
Abbas tujhe Ahle Wafa yaad karenge


Also check - Aye Shere Neyastaane Haidar Abbas Full Noha lyrics




Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.