Jab Rida Sar se chini Main sada deti rahi Noha Lyrics
Haye Abbas, Haye Abbas
Aale Imran Kahan, Aur Zindan Kahan, Lye Behan Qaid Hui,
Tu Na Aya Ghazi
Jab Rida Sar se chini, Main sada deti rahi
Tu Na Aya Ghazi
Aa gyi Shaam e Alam, Lut Gaye ahle Haram
Rait Pr Jalti Hui, Ho gaya Thanda Alam
Pursa Denay Ke Liye, Mujh se Milne Ke Liye
Aa gye Baba Ali(as), Tu Na Aya Ghazi
Dhoop Main Tu Tha Shajar, Tujhse Aabad Tha Ghar
Hai Barehna Mera Sar, Kya Nahi Tujh Ko Khabar
Aye Alamdar e Wafa, is Behan Ko Ba Khuda
Tujhse Dharas Thi Bari, Tu Na Aya Ghazi
Kya Kahun Sher Mere, Be Rida Hum Ko Liye
Ye Musalman Sare, Shehr Dar Shehr Gaye
Khilqate Kufa Kabhi, Khilqate Sham Kabhi
Baraha Hum Pe Hansi, Tu Na Aya Ghazi
Kitni Bebas Thi Behan, Aye Shehanshah e Wafa
Naam Le Le Ke Mera, Jab Ye Zaalim Ne Kaha
Naz Tha Jis Pe Tujhe, Ab Bulao Na Use
Aur Main Roti Rahi, Tu Na Aya Ghazi
Hum Ko Pani Na Mile Teri Khushboo To Rahe
Tere Baazu Na Katain, Chahe Mashkeeza Chide
Ye Magar Ho Na Saka Tere Baazu Hain Juda
Mujh Pe Hai Tashna Labi, Tu Na Aya Ghazi
Kya Sakina Se Kahun, Aye Mere Dil Ke Sukoon
Haye Pani Ke Liye, Beh Gaya Sub Tera Khoon
Abb Koi Aas Nahi, Tou Mere Pass Nahi
Rassi Shanoon Main Bandhi, Tu Na Aya Ghazi
Jab Chali Sheh Pe Churi, Aye Mere Sher e Jari
Hath Malti Thi Behan, Kuch Qadam Dur Khari
Kat Gaya Sheh Ka Gala, Haye Bhai Ne Sada
tujhko Har Zarb Pe Di, Tu Na Aya Ghazi
Qaid Khane Main Qaza, Jab Sakina Ko Mili
De Ke Kurtay Ka Kafan, Bacchi Dafnaye Gayi
Us Ghari Naam Tera, Surat e Naad e Ali
Bas Main Dohrati Rahi, Tu Na Aya Ghazi