Baba Sakina ko ab Godh me lelo
Mere baba ye kaise toote sitam
sunaun kis ko mai roodad e alam
tum waqif ho ab koi nahi hai mera ghar lut gaya saara
bas aakhri ek baar seene se laga lo
baba sakina ko ab godh me lelo
akele kyun mujhe tum chod gaye
chaheeti beti se moo mod gaye
beti ko koi yun kar deta hai tanha dil rota hai mera
bas aakhri ek baar seene se laga lo
baba sakina ko ab godh me lelo
tamache khaayi aur mai ro na saki
tumhari yaad may mai so na saki
is beti ka bistar tha tumhara seena ab khaak bichona
bas aakhri ek baar seene se laga lo
baba sakina ko godh me lelo
akele so gaye tum maqtal me
tumhe dhoondu kahan mai jangal me
hai bikhre huwe maidan may saare laashe har soo sannate
bas aakhri ek baar seene se laga lo
baba sakina ko godh me lelo
hai zakhmi raaste ghurbat ka safar
rulaate hai mujhe saare manzar
oonton se wo nanhe bachon ka gir jaana maa'on ka tadapna
bas aakhri ek baar seene se laga lo
baba sakina ko godh me lelo
teri beti me ab himmat bhi nahi
pukarun kis ko mai taaqat bhi nahi
khulwado zara aa kar gardan ki rassi dam ghut'ta hai mera
bas aakhri ek baar seene se laga lo
baba sakina ko godh me lelo
nighaon may kisi ka zakhmi badan
wahin baithi hui ek bewa dulhan
ek maa ki nighaon me hai nanha laasha aur khaali jhoola
bas aakhri ek baar seene se laga lo
baba sakina ko godh me lelo