Mere maula mujhe do sahara
Mere maula mujhe do sahara
maine thama hai daaman tumhara
dhalte suraj ko tumne ubhara
maine thama hai daaman tumhara
1. Tum hi mushkil kusha e jaha'n ho
tum hi maula e kauno makaa'n ho
ambiya ne bhi tumko pukara..(2)
maine thama hai daaman tumhara
2. Meri kashti bhawar mein phasi hai
dushmano ke labo par hasi hai
kardo nazdeek mujhse kanara..(2)
maine thama hai daaman tumhara
3. Gardisho mein muqaddar hai mera
kya karu chaar su hai andhera
tum jo chaho to chamke sitara..(2)
maine thama hai daaman tumhara
4. Ranj mein kabse mai mubtela hu
kab se maula aseer e balaa hu
kya tadapna hai mera gawara..(2)
maine thama hai daaman tumhara
5. Mustafa ke liye ab bachao
fatima ke liye jaa'n chudao
ab to mutlaq nahi ghum ka yaara..(2)
maine thama hai daaman tumhara
6. Tumko maula hasan ki dohai
sarwar e bekafan ki dohai
sunlo faryaad meri khudara..(2)
maine thama hai daaman tumhara
7. Behre abbas baazu ko thama
bediya'n behre sajjad kaato
ya ali mai hu banda tumhara..(2)
maine thama hai daaman tumhara
8. Wasta akbar e naujawa'n ka
wasta chhe mahine ki jaa'n ka
kardo rehmat ka bus ab ishara..(2)
maine thama hai daaman tumhara
9. Apne kirmaan par rehem khao
jald roze pe maula bulao
darr dikha do mujhe ab tumhara..(2)
Mere maula mujhe do sahara
maine thama hai daaman tumhara