Dastane Shujaath ka Darain me Lyrics

Dastane Shujaath ka darain me
Ek Bemisl kirdar Abbas hai


Hai Ali ke Athara Hi bete Ali x2

Par sabhi me Alamdar Abbas Hai


Inke lehje me hashim ki hashmat bhi hai

Inke tewar me hamza ki haibat bhi

Har ada inki imran ka aqs hai

Inki baho me jaffar ki quwwat bhi hai


Pyar hai mustufa ka hussain o hasan

Aur hassnain ka pyar Abbas hai


Qabr kya hai andhera sa ghar hai jahan

Marefat ke siva koi sapna nahi

Vo bohat hi andheri jagah hai waha

Koi yawar nahi koi apna nahi


Tumse milne lahad me ali aayenge

Bolo tanhai me aur kya chahiye


Naqle azmat ka shireen samar hai yehi

Ismato ke sadaf ke gohar hai yehi

Noor ki sidratulmuntaha hai yehi

Hashmi aasman ke qamar hai yehi


Jinke saaye me akber bhi palte rahe

Husn ka aisa minaar Abbas hai


Hal ata innama ki jo misdaaq hai

Vo bhi ghazi ke aane ki mushtaq hai

Arsh se farsh tak inki jageer hai

Sari maqloq inki gadageer hai


Jo ali ki shujath ka waris bhi hai

Aisa aala zameendar Abbas hai


Sahebe taqt akhline gairat hai ye

Aur charaghe hareebe sharafat hai

Zore shehwar Behre saqawat hai ye

Haq to ye hai ke haq ki haqeeqat hai


Vo duwwayen jo bibi ne sajdo me ki

Kul duaoo ka meyar Abbas hai




Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.