Jisdum naginey khaatam-e-Paighambaraan giraa Marsiya

Jisdum naginey khaatam-e-Paighambaraan giraa Marsiya


Jisdum naginey khaatam-e-Paighambaraan giraa
Raunaq utthi zameen sey Imam-e-Zamaan giraa
Girney pa sab giroh liye barchiyaan giraa
Hai hai na in jafaaoun pa bhi aasmaan giraa

Zehra sey poochiyeh khalaq noor-e-ain ka
Taphna zameen pa aur tadapnaa Hussain ka

Mushtaaq-e-sair-e-zibhaa baday afsaraaney keen
Qaatil kayee khadey huvey aakar qareen qareen
Koyi pukaara haan koyi bolaa abhi nahin
Ab deir kya hai sajdeh main rakh leinay doh jabeen

Aawaaz dee umar ney hai gardhan dhalee huvi
Qaatil pukaara aankh abhi hai khulee huvi

Sab tham gaye magar na thamaa shimr-e-badh shiyam
Sar peetnay ki jaa hai rakha us jagaah qadam
Seena dabaah toh aur bhi tadpey Shahey Umam
Shor-o-fughaan sunaa isi haalath mai dam-ba-dam

Qaatil sey poocha dekh kidhar ghul yeh hotha hai
Hai hai Hussain kehkay koyi run mai rotha hai

Woh bola koyee hoga main dekhoon bhalaa kidhar
Ab teigh par nigaah hai Sheh ragh pa hai nazar
Haan jab sawaar honay lagaa tha main seenay par
Saidaani ek niklee thi khaimey sey nangay sar

Us dam hamaari fouj main toh eid hothi hai
Mujhko yaqeen hai yeh wohi Bibi rothi hai

Sheh bolay aur koyee nahin yeh bahen bahen
Aashiq bahen Hussain ki tashnaa dahan bahen
Bhooli hamaarey pyaar main maa ka chalan bahen
Balwaa kahan kahan yeh meri qasthaa tanh bahen

Qaatil pukaara aagay bhi baahar yeh aayi thi
Sheh bolay jab sinaan yeh Akbar ney khaayi thi

Woh ronaa beykasi ka woh ghabraana yaas ka
Woh thar-tharaana dil ka woh uddnaa hawaas ka
Kehnaa bilakh bilakh kay yeh kalmaa hiraas ka
Aye shimr waastha Ali Asghar ki pyaas ka

Lillah teen roz kay pyaasey ko chodd dey
Sadqaa Nabi ka unkay nawaasey ko chodd dey

Thamjaa Khuda ko maan Habeeb-e-Khuda ko maan
Zehra ko maan Hazrath-e-Mushkil Kusha ko maan
Saugandh faqr-o-faaqaa-e-Aal-e-Abaa ko maan
Apni Rasool zaadi ki tu ilteijaah ko maan

Saarey buzurgh margaye mujh badhnaseeb kay
Meraa koyi nahin hai siwaa is ghareeb kay

Aye shimr main galay sey lagaaloon toh zibhaa kar
Bhaayi sey milkay khaimey main jaaloon toh zibhaa kar
Kuch dard apney dil ka sunaaloon toh zibhaa kar
Syed ko Qibla roo main litaaloon toh zibhaa kar

Paani toh bhookay pyaasey ko aye badhqisaal dey
Hai waqt-e-zibha aankhoun pa kapdaa toh daal dey

Aye shimr tujhko Khaaliq-e-Akbar ka waastha
Aye shimr tujhko roohey Payambar ka waastha
Aye shimr tujhko Hyder-e-Safdar ka waastha
Aye shimr tujhko nanhey sey Asghar ka waastha

Lillah kar na zibhaa Shahey mashraqain ko
Main bheek maangthi hoon mujhey dey Hussain ko

Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.