Jab khaatemaa bakhair huva fouj-e-shah ka Marsiya

Jab khaatemaa bakhair huva fouj-e-shah ka Marsiya


Jab khaatemaa bakhair huva fouj-e-shah ka
Kausar pa qaafila gayaa pyaasi sipaah ka
Ghar lutt gaya janaab-e-Risalath panaha ka
Khaakh udd rahi thi haal yeh tha baargah ka

Bhaayi thay na rafeeq na woh noor-e-ain thay
Doh bahenay ronay waali thi aur ek Hussain

Farmaatey thay ke waah yeh taaqeer hai ajal
Akbar ke baad kaunsa tha zeesth ka mahal
Ab mujhko ek baras ke baraabar hai ek pal
Maut aaye ab yeh hai shajar zindagi ka phal

Ek jaa chhuri galoun pey jo chalthi tho khoob tha
Yeh jaan unkey saath nikalti tho khoob tha.

Hum sab ke baad khalq sey jaaney ko reh gaye
Sar peetnay ko ashk bahaaney ko reh gaye
Is naujawaan ka daagh utthaaney ko reh gaye
Peeri may aah ttohkarein khaaney ko reh gaye

Beta kahan khabar jo damay inteqaal ley
Ithna nahin koyi ke giroon tho sambhaaley

Naagaah suey laashey pisar ja padi nazar
Chillaaye dil ko thaam ke sultaan-e-behrobarr
Sothay ho kya dharey huvey rukhsaar khaakh par
Akbar utto ke ghodey sey girthaa hai ab pidar

Bhooley pidar ko neendh may qurbaan aapke
Aao namaz-e-asr padho saath baap ke

Abbas-e-naamdaar taraayi sey utt ke aao
Phut tha hai qalb jal rahey hain sab jigar ke ghaao
Chiddko meri zirah pa jo paani kahin se paao
Chaltey huvey adam ke musaafir sey miltey jaao

Ghaflath ki turnko neend hai Shabbir kya karey
Meri tarah kisi ko na beykas Khuda karey

Chillaaya fouj ko pisar-e-saad-e-naabakar
Lo gher lo Hussain ko sab milkay ek baar
Paltey paday savaaroun ke lekar risaladaar
Doh ghol baandhey aaye kamadaar dus hazaar

Teer afghanou may teghoun may bhaaloun may ghir gaye
Beykas Husain barchiyou waaloun may ghir gaye

Sayyed ke marthabey ko naa jaana hazaar haif
Teeroun sey sadr paak ko chhaana hazaar haif
Shaaney thay nokoun ka nashaana hazaar haif
Mazloom ka woh barchiyaan khaana hazaar haif

Tootey thay sab Rasool ke pyaarey Hussain par
Kya waqt padd gaya tha tumharey Hussain par

Girthay hain aap kaun sambhaaley koyi nahin
Seenay say kaun teer nikaaley koyi nahin
Sab marchukey hain chaahaney waaley koyi nahin
Bey jaan padey hain godh ke paaley koyi nahin

Beykas hain aap zor sipaahey-adoo ka hai
Muh jiska dekhtey hain woh pyaasa lahoo ka hai

Fizza ney jaakey khaimey may beyvoun ko di khabar
Hai hai meray khuzaadey ka kat-tha hai tanh sey sar
Bistar sey utt ke gir padey Sajjad-e-nauhagar
Khaimey say nikli bibiyaan bachchoun ko choddkar

Hiltha tha arsh Hazrat-e-Zainab ke bayn sey
Gir gir kar daudti thi ke mil-loon Hussain sey

Chillaati thi aray mera bhaayi hai kis taraf
Looti huvi Ali ki kamaayi hai kis taraf
Dariya kidhar hai khoon ka taraayi hai kis taraf
Sonay ki jaan Hussain ney paayi hai kis taraf

Rastha dey aye zameen ke falak ki sataayi noon
Mai apney pyaarey bhaayi sey milney ko aayi hoon.

Main Sayyeda hoon rahem karo laash ko bathaao
Aye ahley qariyaa binte Ali ki madad ko aao
Duniya may tum khushi raho uqbaa may chaen paao
Syed kidhar hai khoon may ghalthaan bathaaye jaao

Yaan lut gaye falak ne yeh dukh hum pa daaley hain
Aye bhaayio madiney ke hum rehnay waaley hain

Sheh ke karaahaney ki jo aaney lagi sadaa
Daudi udhar Nabi ki nawaasi barhainaa paa
Dekha bahen ney cut-thay huvey bhaayi ka gala
Aankhon paa haath rakh ke giri bintey Murtuza

Gham sey kaleyjaa phat gaya Zehra ki Jaayi ka
Utthi toh dekha naizey pa sar apney bhaayi ka

Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.