Farzandoun ko phir Fatema Zehra ney bulaaya Marsiya


Farzandoun ko phir Fatema Zehra ney bulaaya Marsiya


Farzandoun ko phir Fatema Zehra ney bulaaya
Chaathi sey lagaaya kabhi seenay sey lagaaya
Baalaa-e-jabeen bosay liye aur yeh sunaaya
Lo pyaaro kay hungaam judaayi ka ab aaya
          Ab tum sey judaa hothi Batool-e-Uzra hai
          Yeh aakhri Zehra ney tumhey pyaar kiya hai

Hyder sey kahaa inko na pahoonchey koyi eezza
Yeh hain meray pyaarey kabhi inko na ghuraknaa
Aur aap sey ek arz yeh ab karthi hai Zehra
Paddhiyo meray laashey pa namaaz aye meray Maula
          Furqath mein na in dono ko taddpaaio saahib
          Bachchoun ko meri qabr pa tum laayio saahib

Naazuk hai mizaaj inka yeh maaloom hai maula
Har baat mein bey saaqtha ro deytha hai chotaa
Hai khauff ulatt jaaye na seenay mein kaleijaa
Tum isko meray laashey pa bhi ronay na deyna
         Sab kudh mein leyn martabaa quraan ka samajh kar
         Ghurrkay na koyi ab isey bin maa ka samajh kar

Yeh kehkay kiya bandh dar-e-hujraa-e-athar
Sab khurd-o-kalaan aankay ronay lagay baahar
Awaaz suni kalma-e-taiyab ki baraabar
Phir kuch na sadaa aayi kaha sab ney yeh rokar
         Rehlath huvi bas aaj Rasool-e-Arabi ki
         Lo utt gayi duniya sey nishaani bhi Nabi ki

Alqissa woh din maatam-e-Zehra mein jo guzzra
Shab aayi khulay gaisuoun sey deyna ko pursaa
Hyder ney kiya ghusl ka saamaan mohiyaa
Maasooma kay ek haath mein jo zakhm lagaa tha
         Woh dast-e-Batool aah khameeda nazar aaya
         Yeh dekhtay hi mooh ko Ali kay jigar aaya

Nehlaa kay jo kafnaaney lagay maiyath-e-Zehra
Zainab ney kaha haathoun sey sar peet kay apna
Amma ka meray haath toh seedaa karo baba
Woh rokay pukaarey yeh khameeda hi raheiga
         Tabooth mein phir maiyath-e-Zehra ko litaakar
         Sab sey kaha lo bibiyo rukhsath karo aakar

Kehtey thay Ali Fatema kay laashey sey yeh baat
Bas Fatema bas ho chukee beitoun sey mulaqaat
Farzandoun ki gardhan sey judaa kijiyeh ab haath
Rukhsath bhi ho ab zindoun ka aur laashey ka kya saath
         Chalnay mein musaafir kay yeh deyree nahin hothi
         Maiyath sey sadaa aayi kay seyri nahin hothi

Saaheb meray bachchoun ko chuddaao na Khudaara
Khaatir sey meri deyr karo aur gawaara
Hoyegaa meri rooh pa ehsaan tumhaara
Bachchoun sey ziyaada mujhey koyi nahin pyaara
         Masoomoun sey dum bhar mein bichadd jaayegi Zehra
         Phir kaaheyko yoon seenay liptaayegi Zehra

Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.