Bano ki aaj kis liye sunsaan goadh hai Marsiya

Bano ki aaj kis liye sunsaan goadh hai Marsiya


Bano ki aaj kis liye sunsaan goadh hai
Bachchi ko kya huva aray veeraan goadh hai
Maa sar jhukaaye bhaitee hai veeraan goadh hai
Baali Sakina margayi sunsaan goadh hai

Naazoun sey jo pali thi Shahey Mashraqain ki
Mitti main aaj milthi hai bachchi Hussain ki

Bano kay bayn hain meri goadhi ujad gayee
Baaqi thi Sheh ki ek nishaani kidhar gayee
Ya Rab main kya karoon meri bachchi bichadd gayee
Amma ko rothi chodd kay beti kidhar gayee

Aawaaz ek baar toh maa ko sunaao tum
Bano jiye toh kaisey jiye yeh bathaao tum

Hai hai jawaan betay ka sehra na dekhi main
Asghar ko haaye ghuttniyo chalthaa na dekhi main
Armaan koyi apna nikalthaa na dekhi main
Teiray bhi koyi kaaj ko hotha na dekhi main

Waaris ka saaya utt gaya betoun ko khoyi hoon
Baaqi jo ek bachchi thi aaj uspaa rothi hoon

Thi aarzoo main tumko parwaan chadhaaoongi
Dulhan banaakay dhoom sey shaadi rachaaoongi
Dil kay tamaam apney main armaan nikaaloongi
Yeh kya khabar thi khaak main tujhko milaaoongi

Main badhnaseeb reh gayee ronay kay waasthay
Tum jaa rahi ho qabr main sonay kay waasthay

Sajjad bolay sabr karo tum par main fidaa
Maiyath utthaaney jhuk gaya beemaar bey dawaa
Moonh rakh kay moonh pa bola bahen teiray main fidaa
Tujhko milaaney khaak main Sajjad rehgaya

Tharraaye haath aur museebath bapaa huvi
Maiyath uttnaa tha kay qayamath bapaa huvi

Maiyath nikal rahi hai andheira makaan hai
Laaye charaag kaun paraaya makaan hai
Kurtha kafan hai phool hai naa saayebaan hai
Ghurbath ki mauth hai yeh yateemi ki shaan hai

Maiyath bahen ki bhaayi kay haathoun pa aathi hai
Hai hai Sakina qabr main sonay ko jaathi hai

Maa sar ko peet kar yehi kehthi hai baar baar
Aahistha leykar jaayioh betaa teiray nisaar
Jaakar na phir yeh aayegi Baba ki soghvaar
Jee bharkay dekh leinay doh phir mujhko ek baar

Logo bathaao kaisey main kafnaaney doon isey
M aa hoon main kaisey gaardney ley jaaney doon isey

Bhaayi kay haath zouf sey jab thar tharaathay hain
Nanhi si laash seenay sey liptaaye jaathey hain
Zanjeer jab ulajjthi hai ghabraaye jaathey hain
Soorath bahen ki dekhtay hain rothay jaathey hain

Sadhmey bahot utthaayi hai beti Hussain ki
Gardhan bhi hai cheelee huvi is noor-e-ain ki

Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.