GHAR LUT GAYA AMMA
Maqtal ki fazao’n me ye Zainab ka tha Naoha, Ghar lutgaya Amma
Baqi na raha Mere liye koi sahara, Ghar lut gaya Amma
Maidan me paamaal huwa Qasime Noushah, Dil phat gaya Mera
Kya dekhte hi dekhte bewa huwi Kubra, Ghar lut gaya Amma
Laila ne jodekha hai Jawa’n Bete ka Lasha, Khamosh hai Dukhiya
Phat jaaye na us Gham se kahi’n Uska kaleja, Ghar lut gaya Amma
Pani ke liye ran ko Alamdar gaye the, wapas nahi’n Aaye
Shabbir ne Abbas ko Marte Huwe Dekha, Ghar lut Gaya Amma
Abbas ke Lashe se Hussain Aaye jo Uthkar, tha Dard ka manzar
Hatho’n se kamar thamke Rone lage Bhayya, Ghar lut Gaya Amma
Shashmahe ko maidan se Shabbir jo Laae, the Sar ko Jhukaae
Tha khoon me dooba huwa Masum ka Lasha, Ghar lut Gaya Amma
Wo Asr ka hangaam Qayamat ka sama tha, Dil doob raha tha
Jab tegh ke niche Mere Bhai ka Gala tha, Ghar lut Gaya Amma
SarTann pa nahi khoon me tar Sara Badan hai,ye Shahe Zaman hai
Kya Aapne Shabbir ko tha isliye pala, Ghar lut Gaya Amma
Tha pehle hi Bhayya ka Badan zakhmo se chhalni, aafat ye nayi thi
Ronda gaya phir ghodon ki taapon se wo Lasha,Ghar lutGaya Amma
Hai zere sama’n khak pa ab Aapka Kunba, Sar par nahi’n Saya
Abbas ko neend aayi hai Main Deti hu’n pehra, Ghar lut Gaya Amma
Bachchi Meri karwat bhi to ab le nahi’n Sakti, so bhi nahi’n Sakti
Behta hai lahu kano se hai zakhm bhi taaza, Ghar lut Gaya Amma
Kufa jo Haram pohnche to Dil hogaye bechain, Zainab keye the bain
Yaad ata hai Baba ki Hukumat ka zamana, Ghar lut Gaya Amma
Tha Shaam ki raaho’n me safar ek Qayamat, wo dhoop ki shiddat
Wo shimr ka durra wo Sakina ka tadapna, Ghar lut Gaya Amma
Sajjad ki Gardan me tha wo touqe gira baar, chalna bhi tha dushwaar
Har gaam pa Bimar ka wo girke sambhalna, Ghar lut Gaya Amma
Darbar me ham log rasan basta khade the, sab dekh rahe the
Aur saamne Sar tasht me Bhai Ka rakha tha, Ghar lut Gaya Amma
Ab Kaise kahu’n haath me zalim ke chhadi thi, Main Dekh rahi thi
Is zulm pa Zainab ka Badan kaamp raha tha, Ghar lut Gaya Amma
Us Qafelaye Haq pa musibat rahi paiham, hota raha Maatam
Akhtar yehi Kehti Rahi bas Saaniye Zehra, Ghar lut Gaya Amma