AASHOOR KI WO RAAT
Aashoor ki wo raat wo sannaate ka aalam
Fitrat ki khamoshi me farishton ka Wo maatam
Soya hua ran me Asadullah ka zaiGham
Aur khoon me dooba hua Islaam ka parcham
Abbas tujhe Ahle Wafa yaad karenge
Dekhi na gayi bachon ki jab tashna dahani
Aankhon me khatakne lagi maojo’n ki rawani
Paani ke liye apna lahu kar diya paani
Bachpan pa Sakina ke fida kardi jawani
Abbas tujhe Ahle Wafa yaad karenge
Qabze me thi talwaar ke qabze me Khudaai
Do haath chali thi ke taraai nazar aayi
Bhai ki wigha door se dekha kiye Bhai
Yu Shaane Wafa Tu ne wafadaar dikhaai
Abbas tujhe Ahle Wafa yaad karenge
Aye Fatima Zehra ke qamar nayyare taaba’n
Baazue Hussain Ibne Ali naasire Ima’n
Khaaliq ki qasam kardiya Islaam pa ehsaan
Aye mashke Sakina ke Muhafiz Tere qurbaan
Abbas tujhe Ahle Wafa yaad karenge
Duniya se gaya Shaan Wafaaon ki dikha kar
Paani na piya pyaasa raha nehr pa jaa kar
Ghode se gira khaakh pa baazu ko kata kar
Soya bhi to soyi hui millat ko jaga kar
Abbas tujhe Ahle Wafa yaad karenge
Kazim koi karta hai to karne do bahana
Goonjega fazaaon me wafaaon ka taraana
Har rang me dhal jaaega ye Gham ka fasaana
Fitrat to na badlegi badal jaay zamana
Abbas tujhe Ahle Wafa yaad karenge